jis ka mayassar na tha bhar ke nazar dekhna
kahta hai khat aae par tuk to idhar dekhna
bola vo hans ke ki haan dekhe hain tujh se bahut
main jo kaha hai gharaz mujh ko magar dekhna
dekhun na vo din ki main minnat-e-ehsan luun
shaam miri ai falak ho na sahar dekhna
roz-e-vidaa us ko dekh ik do nazar sair ho
dekh le phir ham kahan aur kidhar dekhna
yaar hua be-dimagh sun mira shor-e-junun
ah-o-fughan ka miri yaaro asar dekhna
jis ki tu dekhe hai raah meri nazar men hai khuub
ik dam idhar dekhna ik dam adhar dekhna
itna gaya-guzra bhi mujh ko na vaan se samajh
ghair tu us kuche se phir to guzar dekhna
khilqat-e-khuban ke biich qubah-e-khuda nikle hai
aib hai use munkiro husn agar dekhna
dida-e-barik-bin rah-e-adam par ho juun
marg pe dil dharna hai us ki kamar dekhna
‘hasrat’ use dil-kusha jaise hai dariya ki sair
mere lab-e-khushk aur dida-e-tar dekhna
Leave a Reply