rah-e-hayat men jo log javedan nikle
vahi vafa-o-mohabbat ke tarjuman nikle
ajiib sehr ka aalam tha us ki mahfil men
zaban pe naaz tha jin ko vo be zaban nikle
vahan vahan pe vafa-dariyon ka zor badha
tumhare chahne vaale jahan jahan nikle
safar ki hasraten niklin bahut miri yarab
magar jo dil men the arman vo kahan nikle
aziiz yuun to bahut hain aziiz kya kahiye
kai aziiz magar mujh se bad-guman nikle
yaqin bahut tha mohabbat pe tum ko apni ‘adil’
yaqin ke badle vahan bhi faqat guman nikle