koī ḳhush hai koī nākām hai aisā kyoñ hai
hai kahīñ sub.h kahīñ shaam hai aisā kyoñ hai
jin kī āñkhoñ meñ khaTaktā thā maiñ kāñTe kī tarah
un ke hoñToñ pe mirā naam hai aisā kyoñ hai
chāhe jis kī ho ḳhatā koī bhī mujrim ho magar
tire dīvānoñ pe ilzām hai aisā kyoñ hai
husn kī anjuman-ārā.iyāñ taslīm magar
ishq āvāra-o-badnām hai aisā kyoñ hai
aaj har shaḳhs ko har moḌ pe har mahfil meñ
shikva-e-gardish-e-ayyām hai aisā kyoñ hai
maiñ bhī mamnūn huuñ saaqī kā magar mere liye
koī sāġhar na koī jaam hai aisā kyoñ hai
jab hai be-parda koī sāhab-e-jalva ‘anvar’
raushnī sirf lab-e-bām hai aisā kyoñ hai