
Poet
kya na-didon se zamane ko sarokar hai aaj
ek dirham jo rakhe malik-e-dinar hai aaj
kal to ma.amura-e-alam ko Dubaya ai chashm
kya ḳharabi hai tu phir rone ko tayyar hai aaj
dekhna dekhna kya dil men lagi atish-e-ishq
kyuun mira nala-e-ḳhun-bar sharar-bar hai aaj
ai ‘raza’ ḳhatt-e-siyah us ke nahin chehre par
husn ke vaqiye ka yaar aza-dar hai aaj

Leave a Reply