rah-e-vafa ke har ik pech-o-kham ko jaan liya
junun men dasht o bayaban tamam chhan liya
har ik maqam se ham surkh-ru guzar aae
qadam qadam pe mohabbat ne imtihan liya
giran hui thi gham-e-zindagi ki dhuup magar
kisi ki yaad ne ik shamiyana taan liya
tumhin ko chaha bahar-hal aur tumhare siva
zamin mangi kisi se na asman liya
ba-ehtiyat chale rah-e-zindagi phir bhi
jagah jagah hamen gard-e-safar ne aan liya
vo but bhi dushman-e-iman-o-agahi tha magar
use jo dekha to ham ne khuda ko maan liya
Leave a Reply