• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jaane Hum Ye Kin Galiyon Mein KHak uDa Kar Aa Jate Hain

Jaane Hum Ye Kin Galiyon Mein KHak uDa Kar Aa Jate Hain

jaane ham ye kin galiyon men ḳhaak uḌa kar aa jaate hain

ishq to vo hai jis men na-maujud mayassar aa jaate hain

jaane kya baten karti hain din bhar aapas men divaren

darvaze par qufl laga kar ham to daftar aa jaate hain

kaam mukammal karne se bhi shaam mukammal kab hoti hai

ek parinda rah jaata hai baaqi sab ghar aa jaate hain

apne dil men gend chhupa kar un men shamil ho jaata huun

DhunDte DhunDte saare bachche mere andar aa jaate hain

miim mohabbat paḌhte paḌhte likhte likhte kaaf kahani

baiThe baiThe is maktab men ḳhaak barabar aa jaate hain

roz nikal jaate hain ḳhali ghar se ḳhali dil ko le kar

aur apni ḳhali turbat par phuul saja kar aa jaate hain

ḳhaak men ungli pherte rahna naqsh banana vahshat likhna

in vaqton ke chand nishan ab bhi kuzon par aa jaate hain

naam kisi ka raTte raTte ek girah si paḌ jaati hai

jin ka koi naam nahin vo log zaban par aa jaate hain

phir bistar se uThne ki bhi mohlat kab milti hai ‘adil’

niind men aati hain avazen ḳhvab men lashkar aa jaate hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kaun Hai Kis Ne Pukara Hai Sada Kaise Hui

ismail-merathi

Hawa Aur Suraj Ka Muqabla

poet

Sarshaar Hun Saqi Ki Aankhon Ke Tasawwur Se

poet

dekhiye To Khayal-E-Kham Mera

Aur Phir Chehra-E-KHashak Badal Jaega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet