shauq-e-surur sham-e-gham apne siva kisi ka hai
jam-o-subu kisi ke hain kaif-o-nasha kisi ka hai
ḳhud tak pahunch ke dekhiye kya kya paḌega beach men
goya qaba hai aap ki band-e-qaba kisi ki hai
ḳhema-e-samri ko hai azhdaha-e-ramis ka ḳhauf
ya.ani asa kisi ki hai ya.ani ḳhuda kisi ka hai
kis kis ḳhuda ka zikr ho kis kis ḳhuda se kaam ho
dil men dua kisi se hai harf-e-dua kisi ka hai
kasa-e-jism-o-jan ḳhala lamha-e-dostan ḳhala
va.ada-e-shab kisi se hai va.ada vafa kisi ka hai
Leave a Reply