tamiz-e-pisar-e-zamin va ibn-e-falak na karna
tum aadmi ho to aadmi ki hatak na karna
ye jama-o-tafriq zarb-o-taqsim ki sadi hai
aqida thahra adad ki mantiq pe shak na karna
pas-e-kharabat-e-band jaari hai mai-gusari
sikhaya jam-o-subu ko ham ne khanak na karna
chhalave ban jaaen aage ja kar yahi ghazalan
taaqub in mah-vashon ka tum duur tak na karna
ye gham ke maani tujhe lage hai sarab-e-maani
akele sahna use gham-e-mushtarak na karna
Leave a Reply