aao na mujh men utar jaao ghazal hone tak
tum zara aur nikhar jaao ghazal hone tak
meri khatir hi thahar jaao ghazal hone tak
aarzu hai ki na ghar jaao ghazal hone tak
tum agar chaho to har sher shagufta ho jaae
bas mire dil men utar jaao ghazal hone tak
chand ban kar miri shohrat men ujala kar do
raushni ban ke bikhar jaao ghazal hone tak
meri janib se ijazat hai chale jaao magar
dil ba-zid hai to thahar jaao ghazal hone tak
meri ankhon se mire dil men pahunch kar tum bhi
dil ki dhadkan men utar jaao ghazal hone tak
kaash sab rang ke huun aaj mire sab ashar
rang har lafz men bhar jaao ghazal hone tak
mere fan se tumhen be-laus mohabbat hai agar
meri rag rag men utar jaao ghazal hone tak
sher kahne ka saliqa bhi sikha do mujh ko
aaj ye kaam bhi kar jaao ghazal hone tak
shairi men jo hai rutbe ki tamanna ‘rumi’
fikr ki tah men utar jaao ghazal hone tak
Leave a Reply