Gorakh-Dhandha Ho Jaun Kya?

gorakh-dhandhā ho jā.ūñ kyaa?

maiñ bhī tum sā ho jā.ūñ kyaa?

ġhazloñ kī bastī suunī hai

phir āvāra ho jā.ūñ kyaa?

sach kā girvī chhuḌvānā hai

thoḌā jhūTā ho jā.ūñ kyaa?

sāvan ne aañsū se pūchhā

maiñ bhī khārā ho jā.ūñ kyaa?

sab ummīdeñ Duub rahī haiñ

tinkā tinkā ho jā.ūñ kyaa?

ghar daftar ke baTvāre meñ

aadhā aadhā ho jā.ūñ kyaa?

manDī ab bas uThne ko hai

thoḌā sastā ho jā.ūñ kyaa?

sab kā ho kar dekh chukā huuñ

vāpas ḳhud kā ho jā.ūñ kyaa?

Leave a Comment