nazar ko vaqf-e-hairat kar diya hai
use bhi dil se ruḳhsat kar diya hai
bara.e-nam tha aram jis ko
ghazal kah kar musibat kar diya hai
samajhte hain kahan patthar kisi ki
magar itmam-e-hujjat kar diya hai
gali-kuchon men jalti raushni ne
hasin shamon ko shamat kar diya hai
basirat ek daulat hi thi aḳhir
so daulat ko basirat kar diya hai
ka.i hamdam nikal aa.e hain jab se
zaban ko sirf ghibat kar diya hai
suḳhan ke baab men bhi ham ne ‘aslam’
jo karna tha ba-ujlat kar diya hai
Leave a Reply