lafz vapas nahin hua karte
talkhiyon men ghule hue lahje
zarf ke haath kya hi mahir hon
phuul ban kar nahin khila karte
hazf karne ka aasra le kar
koi tahrir likh nahin dena
bhuul jaane ki iltija le kar
mat kaho koi harf-e-na-bina
kal jo khali gaya tha vaar koi
kargar aaj ho bhi sakta hai
bhuli-bisri gavahiyon ka shajar
bar-var aaj ho bhi sakta hai
nazar-andaz hone vaala dard
mo’atabar aaj ho bhi sakta hai
vaqt ki dhuul men ulajh kar bhi
zinda rahta hai saans leta hai
naqsh avaz ka ho harf ka ho
laakh ghaeb karo nigahon se
dil ke andar kahin pe rahta hai
naqsh ban kar nahin mita karte
Leave a Reply