tufan ki zad pe apna safina jab aa gaya
sahil ko mauj mauj ko sahil bana gaya
munh takte takte thak ga.iin hirman-nasibiyan
har inqalab-e-shauq ki himmat baḌha gaya
zauq-e-nazar ki jur.at bebak al-aman
rang-e-hayat ban ke fazaon pe chha gaya
tharra ke sham-e-anjuman-e-aish bujh ga.i
nairang-e-nur-e-sub.h-o-manzar dikha gaya
ijz-e-rah-e-niyaz ke qurban ja.iye
naqsh-e-qadam ko naqsh-e-tamanna bana gaya
itna karam bhi jabr-e-mohabbat ka kam nahin
ghuT ghuT ke marne valon ko jiina sikha gaya
sho.ale se kyuun lapakte hain gulshan se baar baar
‘yaqub’ kya bahar ka mausam phir aa gaya
Leave a Reply