• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Phir Taqaza Hai Ki Tajdid-E-Wafa Ho Jae

Phir Taqaza Hai Ki Tajdid-E-Wafa Ho Jae

phir taqaza hai ki tajdid-e-vafa ho jaa.e

ḳhun-e-dil nazr karo farz ada ho jaa.e

ham hain sarshar-e-mohabbat na shikayat na gila

aap ko uzr hai to uzr-e-jafa ho jaa.e

tishna-lab koi na rah jaa.e tiri mahfil men

jashn hai aaj to rindon ka bhala ho jaa.e

tera mai-ḳhana salamat rahe abad rahe

saqiya ham ko bhi ik jaam ata ho jaa.e

sust-gami se nahin tab-e-ravan ko nisbat

jada-e-shauq pe aa.e to hava ho jaa.e

yuun taḌap ai dil-e-betab ki dhaḌkan se tiri

barq-raftar zamane ki faza ho jaa.e

zalimo soch lo anjam-e-sitam kya hoga

aaj ka din hi agar roz-e-jaza ho jaa.e

ahl-e-dil kaif-e-mohabbat hai usi ke dam se

dard-e-dil aur siva aur siva ho jaa.e

mai-kasho aao chalo shaiḳh-o-barahman se milen

raat ka pichhla pahar sarf-e-dua ho jaa.e

sub.h ho jaa.e to manzil ki taraf tez qadam

is qadar tez ki shal bang-e-dara ho jaa.e

raah men dair-o-haram aa.en to sajda kar lo

shayad is tarah gharibon ka ḳhuda ho jaa.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Lamha-Dar-Lamha Guzarta Hi Chala Jata Hai

Sarka Diya Naqab Ko khiDki Ne KHwab Mein

poet

Aa Gae Mujh Mein Bhi Kuchh Rang Zamane Wale

poet

Kash Maqbul Ho dua-E-Adu

sahir-ludhianvi

Basti Basti Parbat Parbat Gata Jae Banjara

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet