dauḌta rahta huun na-malum samton ki taraf
dekhta hargiz nahin pairon ke chhalon ki taraf
bastiyon ke log sach sun kar bahut barham hue
ab mira ugla nishana ḳhanqahon ki taraf
ab mire daman se uljhi hain kaTili jhaḌiyan
kyuun nikal aaya tha ghar se ḳhar-zaron ki taraf
saḳht tanha.i ki vahshat se mujhe marna nahin
ghar se ghabra kar nikal paḌta huun rahon ki taraf
dekhna ḳhurshid-e-alam-tab ka aalam ki phir
DhunDne nikla hai ḳhud ko mah-paron ki taraf
Leave a Reply