hai jab se dast-e-yar men saghar sharab ka
kaude ka ho gaya hai katora gulab ka
sayyad ne tasalli-e-bulbul ke vaste
kunj-e-qafas men hauz bhara hai gulab ka
dariya-e-khun kiya hai tiri tegh ne ravan
hasil hua hai rutba saron ko hubab ka
jo satr hai vo gasu-e-hur-e-bahisht hai
khal-e-pari hai nuqta hamari kitab ka
nau asman hain safha-e-avval ke nau lughat
kaunain ik do varqa hai apni kitab ka
ai mauj be-lihaz samajh kar mitaiyo
dariya bhi hai asiir tilism-e-hubab ka
bichhvaiye na chandni men baam par palang
manhus hai qiran mah o aftab ka
ik tark shahsavar ki divani ruuh hai
zanjir men hamare ho loha rikab ka
husn-o-jamal se hai zamane men raushni
shab mahtab ki hai to roz aftab ka
allah-re hamara takalluf shab-e-visal
roghan ke badle itr jalaya gulab ka
masjid se mai-kade men mujhe nashsha le gaya
mauj-e-sharab jaada thi rah-e-savab ka
insaf se vo zamzama mera agar sune
dam band hove tuti-e-hazir-javab ka
ulfat jo zulf se hai dil-e-dagh-dar ko
taus ko ye ishq na hoga sahab ka
maamur jo hua araq-e-rukh se vo zaqan
mazmun mil gaya mujhe chah-e-gulab ka
paata huun naaf ka kamar-e-yar men maqam
chashma magar adam men hai gauhar ki aab ka
‘atish’ shab-e-firaq men puchhunga maah se
ye daagh hai diya hua kis aftab ka
Leave a Reply