jo tamasha nazar aaya use dekha samjha
jab samajh aa ga.i duniya ko tamasha samjha
us ki e.ajaz-numa.i ka tamasha.i huun
kahin jugnu bhi jo chamka yad-e-baiza samjha
main ye samjha huun ki samjhe na miri baat ko aap
sar hila kar jo kaha aap ne achchha samjha
asar-e-husn kahun ya kashish-e-ishq kahun
main tamasha.i tha vo mujh ko tamasha samjha
kya kahun mere samane ko samajh hai darkar
ḳhaak samjha jo mujhe ḳhaak ka putla samjha
ek vo hain jinhen duniya ki baharen hain nasib
ek main huun qafas-e-tang ko duniya samjha
mera har sher hai ik raz-e-haqiqat ‘beḳhud’
main huun urdu ka ‘naziri’ mujhe tu kya samjha
Leave a Reply