ghatti badhti raushniyon ne mujhe samjha nahin
main kisi patthar kisi divar ka saaya nahin
jaane kin rishton ne mujh ko bandh rakkha hai ki main
muddaton se andhiyon ki zad men huun bikhra nahin
zindagi biphre hue dariya ki koi mauj hai
ik dafa dekha jo manzar phir kabhi dekha nahin
har taraf bikhri hui hain aine ki kirchiyan
reza reza aks hain salim koi chehra nahin
kahte kahte kuchh badal deta hai kyuun baton ka rukh
kyuun khud apne-ap ke bhi saath vo sachcha nahin
Leave a Reply