manzar miri ankhon men rahe dasht-e-safar ke
kuchh ret ke Tiile dar-o-divar hain ghar ke
lahron pe mire paanv jame hain ki safar men
hai shart Thaharna ki zamin paanv se sar ke
ta-umr rahe jis ke liye zarra-e-na-chiz
dekhe vo kabhi kaash bulandi se utar ke
paani ke ka.i rang dhanak men hain ki tu hai
tasvir men aa.i hai tiri shakl nikhar ke
dariya ki tarah arsa-e-gul men hai ravan kya
badal ki tarah dekh havaon men Thahar ke
patte the kabhi sarsar-e-tufan men TuuTe
taa.ir hain ki uḌ jaa.en miri chaap se Dar ke
Duube hain vo yuun sab ke samundar men ki gham hain
suraj ki chamak aankh men laa.e the jo bhar ke
hasrat hai ki dekhun main ubharta hua suraj
kis kohar men Duube hain dar-o-bam sahar ke
Leave a Reply