jab samaat hi na ho us ki to hai bekar sharh
kya karun dilbar main tujh se apna hal-e-zar sharh
dam-ba-khud huun kuchh nahin kahta huun roab-e-husn se
chup khada huun haal apna karte hain aghyar sharh
dil men hai us rashk-e-yusuf ki kharidari ka shauq
mere raz-e-ishq ki ab hai sar-e-bazar sharh
nosh-e-daru-e-shifa samjhe jo marg-e-ishq ko
kya masiha se kare dard apna vo bimar sharh
vasf chashm-e-yar ka sun kar mariz-e-ishq ne
kyuun kiya tha main ne pesh-e-nargis-e-bimar sharh
mah-e-kanan shefta us par ho bhar kar ah-e-sard
husn-e-janan ki karun jo garmi-e-bazar sharh
kya zaban se vo kahe kya ho dava ka khvast-gar
dard-e-dil karti hai tujh se jis ki shakl-e-zar sharh
na-tavani se mujhe yara-e-goyai nahin
haal soz-e-dil karegi ah-e-atish-bar sharh
ghair mumkin hai tira aghyar se ijra-e-kar
hajat-e-dil ‘barq’ kar chal kar tu pesh-e-yar sharh
Leave a Reply