ye mira vahm to kuchh aur suna jaata hai
ik guman hai ki tira aks dikha jaata hai
ek tasvir dil-e-hijr-zada men hai tiri
ek tasvir koi aur bana jaata hai
teri minnat bhi miri jaan badi ki jaati hai
zer-e-lab ek vazifa bhi padha jaata hai
chand ne mujh pe kaman ek tani hoti hai
tiir lagta nahin kis or chala jaata hai
tu jo aata hai mahakta huun gulabon ki tarah
aur tira khvab jab aata hai rula jaata hai
janta huun na taalluq na zarurat hai tujhe
tujh ko ye kaun mire paas bitha jaata hai
ik javan us ki gali men jo gaya maara gaya
ye fasana hai magar kis se suna jaata hai
Leave a Reply