ye mera aks jo Thahra tiri nigah men hai
nahin hai pyaar to phir kya tiri salah men hai
nahin hai vaqt ki jur.at ki chhu sake us ko
ye tera husn ki jab tak miri panah men hai
nazar jo tujh pe ruke to zara nahin sunti
kahan savab men hai ye kahan gunah men hai
zaban sambhal ke ab naam le raqib us ka
jo tera pyaar tha vo ab mire nikah men hai
Leave a Reply