ye mat kaho ki bhiiḌ men tanha khaḌa huun main
Takra ke abgine se patthar hua huun main
a.ankhon ke jangalon men mujhe mat karo talash
daman pe ansuon ki tarah aa gaya huun main
yuun be-ruḳhi ke saath na munh pher ke guzar
ai sahab-e-jamal tira aa.ina huun main
yuun baar baar mujh ko sada.en na dijiye
ab vo nahin raha huun koi dusra huun main
meri bura.iyon pe kisi ki nazar nahin
sab ye samajh rahe hain baḌa parsa huun main
vo bevafa samajhta hai mujh ko use kaho
a.ankhon men us ke ḳhvab liye phir raha huun main
Leave a Reply