ye kya kaha ki jamal un ka be-hijab na th
ye mahtab nahin tha ye aftab na tha
na hai vo daur jo majruh-e-inqalab na tha
tumhare husn mire ishq ka javab na tha
jahan-e-gham men tasavvur bhi kamyab na tha
‘shifa’ hamari qayamat men aftab na tha
ye tha hijab-e-fareb us ka ya fareb-e-hijab
ki be-hijab tha vo aur be-hijab na tha
vo barhami se sahi mujh ko dekh to lete
ḳharab tha magar itna to main ḳharab na tha
ḳhata muaaf ho vo din bhi yaad hain ki nahin
hamen hijab tha aur aap ko hijab na tha
dil-e-shafaq se lab-e-gul se chashm-e-shabnam se
kahan kahan se farozan tira shabab na tha
‘shifa’ vo rota na kyunkar gulon ke hansne par
jo gham-nasib ki gham men bhi kamyab na tha
Leave a Reply