Ye KHud Ko Dekhte Rahne Ki Hai Jo KHu Mujh Mein

ye ḳhud ko dekhte rahne kī hai jo ḳhū mujh meñ

chhupā huā hai kahīñ vo shagufta-rū mujh meñ

mah o nujūm ko terī jabīñ se nisbat duuñ

ab is qadar bhī nahīñ ādat-e-ġhulū mujh meñ

taġhayyurāt-e-jahāñ dil pe kyā asar karte

hai terī ab bhī vahī shakl hū-ba-hū mujh meñ

rafūgaroñ ne ajab tab.a-āzmā.ī kī

rahī sire se na gunjā.ish-e-rafū mujh meñ

vo jis ke sāmne merī zabāñ nahīñ khultī

usī ke saath to hotī hai guftugū mujh meñ

ḳhudā kare ki use dil kā rāsta mil jaa.e

bhaTak rahī hai koī chaap kū-ba-kū mujh meñ

us ek zohra-jabīñ ke tufail jaarī hai

tamām zohra-jabīnoñ kī justujū mujh meñ

nahīñ pasand mujhe sher-o-shā.erī karnā

kabhī-kabhār bas uThtī hai ek hū mujh meñ

maiñ zindagī huuñ mujhe is qadar na chaah ‘shu.ūr’

musāfirāna iqāmat-guzīñ hai tū mujh meñ

Leave a Comment