main jis ko bhuul jaane ka irada kar raha huun
usi ko yaad pahle se ziyada kar raha huun
hai ye bhi dusron ko pyaas ka ehsas shayad
suhani rut hai aur main tark-e-bada kar raha huun
mubarak ho jo tu manzil-ba-manzil baḌh raha hai
to main bhi yaad tujh ko jaada jaada kar raha huun
nahin minnat-kash-e-ehsan kisi ka rahguzar men
main tanha huun safar bhi pa-piyada kar raha huun
saha jaata nahin ab ranj-e-mahrumi-e-manzil
safar hi tark kar duun ye irada kar raha huun
ulajhta huun masafat ki tavalat se main jitna
masafat ko main utna hi ziyada kar raha huun
main insan huun ye mere irtiqa ki hai alamat
ki main insaniyat ko be-labada kar raha huun
samata hi nahin koi miri naqis nazar men
main apni zaat hi se istifada kar raha huun
safar bhi ho mayassar vo bhi din qismat dikha.e
main barson se irada hi irada kar raha huun
tire qaul-o-qasam jin ko ki tu bhula hua hai
tiri janib se main un ka i.aada kar raha huun
‘vaqar’ ajdad ki tariḳh paḌh luun az-sar-e-nau
murattab hi jab apna ḳhanvada kar raha huun
Leave a Reply