nihan ho ke bhi main zahir rahunga
tiri har soch ka mehvar rahunga
main ab mahsur kar Dalunga ḳhud ko
misal-e-ḳhana-e-be-dar rahunga
tumhare saath ab rahna hai mushkil
main apni zaat ke andar rahunga
bichhaḌ ke bhi rahenge saath donon
tu mera main tira paikar rahunga
mujhe be-bal-o-par gardanna mat
main tanha hi sahi lashkar rahunga
sitara ab koi angan men utre
isi ummid par ab ghar rahunga
zamana jo bhi chahe naam de de
main ‘safdar’ huun main bas ‘safdar’ rahunga
Leave a Reply