Ye Sach Hai Baham Uski Mohabbat Bhi Nahin Thi

ye sach hai baham us kī mohabbat bhī nahīñ thī

aur tark marāsim hoñ ye himmat bhī nahīñ thī

us shaḳhs kī ulfat meñ giraftār ye dil thā

jis shaḳhs ko chhūne kī ijāzat bhī nahīñ thī

kuchh zaḳhm-e-tamannā ko na thā shauq-e-mudāvā

kuchh us ko masīhā.ī kī aadat bhī nahīñ thī

the rāh-e-mohabbat meñ paḌāv ka.ī lāzim

kyā kījiye ruknā mirī fitrat bhī nahīñ thī

jo ḳhvāb-e-shikasta ko atā hausla kartī

hāsil vo junūñ-ḳhez rifāqat bhī nahīñ thī

har-chand ki afsos bichhaḌne kā hameñ thā

lekin mileñ ham phir kabhī hasrat bhī nahīñ thī

vahshat meñ charāġhāñ meñ tire qurb se kartā

afsos mayassar ye suhūlat bhī nahīñ thī

kuchh rāste dushvār manāzil ke the aur kuchh

jazboñ meñ ‘ḳhayāl’ apne sadāqat bhī nahīñ thī

Leave a Comment