ye kya hai mohabbat men to aisa nahin hota
main tujh se juda ho ke bhi tanha nahin hota
is moḌ se aage bhi koi moḌ hai varna
yuun mere liye tu kabhi Thahra nahin hota
kyuun mera muqaddar hai ujalon ki siyahi
kyuun raat ke Dhalne pe savera nahin hota
ya itni na tabdil hui hoti ye duniya
ya main ne ise ḳhvab men dekha nahin hota
sunte hain sabhi ghaur se avaz-e-jaras ko
manzil ki taraf koi ravana nahin hota
dil tark-e-ta.alluq pe bhi amada nahin hai
aur haq bhi ada is se vafa ka nahin hota
Leave a Reply