
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnavi
sahba-kahson ki ḳhaak hai har ik maqam par
saaqi lunDha sharab ko maston ke naam par
zar ho to haath aa.en hasinan-e-sim-tan
sayyad ka shikar hai mauquf daam par
qasid ko yaar ke hon payambar main kah raha
zahid suna.enge salavat is kalam par

Leave a Reply