• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Manzil Na Koi moD Na Rasta Dikhai De

Manzil Na Koi moD Na Rasta Dikhai De

manzil na koi moḌ na rasta dikha.i de

aalam tamam dhund men lipTa dikha.i de

qatil dikha.i de na masiha dikha.i de

har shaḳhs ik fareb-e-tamasha dikha.i de

vaise to zindagi hai ujalon ka shahr bhi

dekho to maqbaron ka andhera dikha.i de

ja.un udhar to ek samundar hai be-karan

dekho idhar to pyaas ka sahra dikha.i de

rangin hai qatl-e-gul se abhi daman-e-bahar

dast-e-havas se ḳhuun Tapakta dikha.i de

tahtush-shu.ur men hai jo ik lamha-e-ḳhyal

lafzon ki siḌhiyon se utarta dikha.i de

sunta huun sa.aton men nigar-e-sahar ki chaap

manzar naqab-e-sham ulaTta dikha.i de

DhunDo kisi hasin ḳharabe men zindagi

ye dil to sadhuon ka basera dikha.i de

arz-e-dakan men baat chali hai kuchh is tarah

‘saqib’ dayar-e-sher men tanha dikha.i de

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Dil Ai Dil Ye Tarz Nahin Kuchh Ishq Ke Ohde-Daron Ki

Wahi Dasht-E-Bala Hai Aur Main Hun

Dil Ko Isi Sabab Se Hai Iztirab Shayad

khiDki Se Mahtab Na Dekho

shahryar

Aakhiri Sans

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet