ye kis liye hai tu itna udaas darvaze
pahan liya hai jo kaala libas darvaze
tu sham-rang hua ja raha hai sub.h se kyuun
jhalakti hai tiri surat se yaas darvaze
niharte ho ye kis kis ko nim-va ho kar
parae des men kaisi ye aas darvaze
hinai haath ke vo lams chhin gae jin se
bane hue hain sarapa sipas darvaze
makin makan men na hoga to phir kahan hoga
yahin kahin hai tire as-pas darvaze
libas aur hai lekin main koi aur nahin
mujhe tu bhuul gaya ru-shanas darvaze
mujhe bhi hairat-o-‘hasrat’ ne but bana daala
tujhe bhi zindagi aai na raas darvaze
Leave a Reply