ye ḳhushi kya hai ki hai zikr hamara hota
hote ham aur hamen baat ka yaara hota
va.ada-e-vasl na hota to ham aise bhi na the
ki hamen hijr men marna na gavara hota
dard-e-dil men nahin jaati suḳhan-ara.i pesh
kaash ye qissa-e-askandar-o-dara hota
dete dastak to vo azurda na hota ‘nazim’
naam le kar use dar par na pukara hota
Leave a Reply