ye khaa.i mas.ale ka hal nahin hai
juda.i mas.ale ka hal nahin hai
zamini mas.alon ka hal nikalo
khuda.i mas.ale ka hal nahin hai
laḌa.i hi hamara mas.ala hai
laḌa.i mas.ale ka hal nahin hai
tu phir se aa gaya hai munh uTha ke
o bhaa.i mas.ale ka hal nahin hai
unhen duniya men jiina bhi sikhao
riha.i mas.ale ka hal nahin hai
in inTon ko samundar-burd kar do
tara.i mas.ale ka hal nahin hai
lagao soch ki gardan ko phanda
ye tie mas.ale ka hal nahin hai
Leave a Reply