ye kam nahin ke vahi shaam ka sitara hai
jise fazilat-e-tanha.i ne ubhara hai
kahin suragh nahin hai kisi bhi qatil ka
lahuluhan magar shahr ka nazara hai
main ja raha huun mukammal vajud paane ko
mujhe bhi surat-e-imkan ne ab pukara hai
vo hans ke har shab-e-zulmat kaaT dete hain
vo jin ke siine men aflak ka sipara hai
charagh jalta rahega hamesha ulfat ka
yahi vajud ke anvar ka ishara hai
ye kaisi surat-e-mahtab khul rahi hai magar
zamin pe kis ne ise arsh se utara hai
ana-shikar pe zahir ye kab hua ‘az.har’
use nibhane men taqdir ka ḳhasara hai
Leave a Reply