• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ajib Khwahish Hai Shahr Walon Se Chhup Chhupa Kar Kitab Likkhun

Ajib Khwahish Hai Shahr Walon Se Chhup Chhupa Kar Kitab Likkhun

noshi-gilani

ajiib khvahish hai shahr valon se chhup chhupa kar kitab likkhun

tumhare naam apni zindagi ki kitab ka intisab likkhun

vo lamha kitna ajiib tha jab hamari ankhen gale mili thiin

main kis tarah ab mohabbaton ki shikastagi ke azaab likkhun

tumhi ne mere ujaad raston pe khvahishon ke diye jalae

tumhi ne chaha tha khushk honton se chahaton ke gulab likkhun

kabhi vo din the ki niind ankhon ki sarhadon se pare pare thi

magar main ab jab bhi sona chahun tumhari yadon ke khvab likkhun

main tanha ladki dayar-e-shab men jalaun sach ke diye kahan tak

siyahkaron ki saltanat men main kis tarah aftab likkhun

qayadaton ke junun men jin ke qadam lahu se range hue hain

ye mere bas men nahin hai logo ki un ko izzat-maab likkhun

yahi bahut hai ki in labon ko sada se mahrum kar ke rakh duun

magar ye kaisi musalahat hai samundaron ko sarab likkhun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tere Dant Sare Safed Hain Pae-Zeb Pan Se Mal Kar Aa

pakDi Na Thi Kitab Ki Ustad Ho Gae

Har Ek Chehre Pe Kanda Hikayaten Dekho

Mujhko Dushwar Hua Jis Ka Nazara Tanha

poet

Din Hi Miliyega Ya Shab Aaiyega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet