ye kaisa khel hai ab us se baat bhi kar luun
kahe to jiit ko apni main maat bhi kar luun
ye iḳhtiyar mira tujh ko jis tarah sochun
sahar ko yaad se aur dil se ghaat bhi kar luun
ye dukh bhi saath chalega ki ab bichhaḌna hai
agar safar men use apne saath bhi kar luun
kisi ka naam na luun aur ghazal ke parde men
bayan us ki main saari sifat bhi kar luun
tu meri zaat ka mehvar mira madar bhi tu
ye musht-e-ḳhak ise ka.enat bhi kar luun
Leave a Reply