ye jo talab hai dariya tha kabhi
main yahan baiTh ke rota tha kabhi
tirgi ne vahan dekha hai mujhe
raushni ne jahan socha tha kabhi
apni tafhim ka zindani lafz
shaḳh-e-ma.ani pe chahakta tha kabhi
ab chara-gah hai ta.abiron ki
mere ḳhvabon ka jazira tha kabhi
yaad paḌta hai tiri fursat men
main kisi kaam se aaya tha kabhi
aaj roti hai jo mere uupar
main isi baat pe hansta tha kabhi
ab to nazren bhi chura leta hai
jo mujhe ḳhvab dikhata tha kabhi
apni vus.at ko nikalta ye hujum
meri tanha.i se uljha tha kabhi
ye jo andar ka tamasha.i hai
mere bahar ka tamasha tha kabhi
Leave a Reply