be-gangi-e-tarz-e-sitam bhi bahana-saz
be-chargi-e-karb-o-alam bhi bahana-saz
kuchh but bana liye hain chattanen tarash kar
dil bhi bahana-saz hai gham bhi bahana-saz
uzr-e-vafa ke saath jalate rahe charagh
khulta hai ab ki dida-e-nam bhi bahana-saz
pabandi-e-rusum-o-vafa bhi bahana-khu
tark-e-vafa-o-sheva-e-ram bhi bahana-saz
har lamha-e-hayat ka tanha raha vajud
dildari-e-nigah-e-karam bhi bahana-saz
kuchh duur saath saath the itna to yaad hai
sahra-e-gham men naqsh-e-qadam bhi bahana-saz
sab se bada fareb hai khud zindagi ‘ada’
is hila-ju ke saath hain ham bhi bahana-saz
Leave a Reply