aaya hai subh niind suun uth rasmasa hua
jaama gale men raat ke phulon basa hua
kam mat gino ye bakht-siyahon ka rang-e-zard
sona vahi jo hove kasauti kasa hua
andaz siin ziyada nipat naaz khush nahin
jo khaal had se ziyada badha so masa hua
qamat ka sab jagat munin baala hua hai naam
qad is qadar buland tumhara rasa hua
zahid ke qadd-e-kham kuun musavvir ne jab likha
tab click haath biich jo tha so asa hua
dil yuun dare hai zulf ka maara vo phunk siin
rassi siin azhdahe ka dare juun dasa hua
ai ‘abru’ aval sen samajh pech ishq ka
phir zulf siin nikal na sake dil phansa hua
Leave a Reply