mujhe ma.alum hai main saari duniya ki amanat huun
magar vo lamha jab main sirf apna ho sa jaata huun
main tum se duur rahta huun to mere saath rahti ho
tumhare paas aata huun to tanha ho sa jaata huun
main chahe sach hi bolun har tarah se apne baare men
magar tum muskurati ho to jhuTa ho sa jaata huun
tire gul-rang honTon se dahakti zindagi pi kar
main pyasa aur pyasa aur pyasa ho sa jaata huun
tujhe banhon men bhar lene ki ḳhvahish yuun ubharti hai
ki main apni nazar men aap rusva ho sa jaata huun
Leave a Reply