libas-e-chak men aivan ke aage nahin jaati
farasat yuun hi har sultan ke aage nahin jaati
main tai karta huun rabt-o-zabt ki sab manzilen phir bhi
rifaqat jaan aur pahchan ke aage nahin jaati
riha.ish to sabhi ki hai isi bazar men lekin
nazar hi ab miri saman ke aage nahin jaati
junun men regzaron ka irada kar raha huun main
savari koi naḳhlistan ke aage nahin jaati
ye kis viran hujre ko basana chahta huun main
koi parchha.in bhi dalan ke aage nahin jaati
suna.i de bhi kya tum ko ki jis ko zaat kahte ho
sada meri usi maidan ke aage nahin jaati
bayan-e-harf ko men tuul deta huun magar ‘rahat’
kahani shauq ki vijdan ke aage nahin jaati
Leave a Reply