• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Humse Karta Hai Abas Guftar Kaj

Humse Karta Hai Abas Guftar Kaj

poet

ham se karta hai abas guftar kaj

rast-bazon se na ho ai yaar kaj

ishq-e-abru se tiri ai kaj-kulah

bandhta hai mah-e-nau dastar kaj

hai tavazo bhi buzurgi ka nishan

kyuun na ho piiri men jism-e-zar kaj

kaj-ravi is zulf ka hai khassa

jis tarah hai maar ki raftar kaj

haat yuun qatil-jabinon ka laga

jis tarah pahne sanam zunnar kaj

rasti ik baat men us ki nahin

kaj rava kaj-maj zaban guftar kaj

qasr-e-tan piiri men jhuk kar kya ruke

gir pade kohna jo ho divar kaj

ja-e-nazzara hai phirte hain hasin

topiyan rakh kar sar-e-bazar kaj

kaj-numa aina-e-alam hai ‘arsh’

be-sabab tedhe abas hain yaar kaj

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ali-sardar-jafri

Baithe Hain Jahan Saqi Paimana-E-Zar Le Kar

Chand Tare Phul KHushbu Sab haTa Do

KHwab Aankhon Mein Sawali Hi Rahe

Sitare so Gae to Aasman Kaisa Lagega

Din Ka Raja Hota Hai Aur Raat Ki Rani Hoti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet