safina le ga.e maujon ki garm-joshi men
hazimat aa.i nazar jab kinara-koshi men
nasha chaḌha to zaban par na iḳhtiyar raha
vo munkashif hue ḳhud apni bada-noshi men
bana liya use saani phir apni fitrat ka
sukun jo milne laga un ko zahr-noshi men
qubul rabb-e-karim-o-rahim ne kar li
miri zaban pe jo aa.i dua ḳhamoshi men
khuli zaban to zarf un ka ho gaya zahir
hazar bhed chhupa rakkhe the ḳhamoshi men
pasand ki na zamane ne sadgi meri
bharam rakkha hai ḳhuda ne safed-poshi men
zad-e-itab men un ke jo aa ga.e ‘anvar’
na jaane kah ga.e kya kya vo garm-joshi men
Leave a Reply