kahan aaya hai divanon ko tera kuchh qarar ab tak
tire va.ade pe baiThe kar rahe hain intizar ab tak
ḳhuda ma.alum kyuun lauTi nahin ja kar bahar ab tak
chaman vaale chaman ke vaste hain be-qarar ab tak
bura gulchin ko kyuun kahiye bure hain ḳhud chaman vaale
bhale hote to kya munh dekhti rahti bahar ab tak
chaman ki yaad aa.i dil bhar aaya aankh bhar aa.i
jahan bola koi gulshan men baaqi hai bahar ab tak
sabab jo bhi ho surat kah rahi hai raat jaage ho
gavahi ke liye baaqi hai ankhon men ḳhumar ab tak
qayamat aa.e to un ko bhi aate aate aa.ega
vo jin ko tere va.ade par nahin hai e’tibar ab tak
salamat mai-kada thoḌi bahut un ko bhi de saaqi
takalluf men jo baiThe rah ga.e kuchh bada-ḳhvar ab tak
ḳhudara dekh le duniya ki phir ye bhi na dekhegi
chaman se jaate jaate rah ga.i hai jo bahar ab tak
qafas men rahte rahte ek muddat ho ga.i phir bhi
chaman ke vaste rahti hai bulbul be-qarar ab tak
ḳhabar bhi hai tujhe mai-ḳhvar to badnam hai saaqi
daba kar kitni botal le ga.e parhez-gar ab tak
are daman chhuḌa kar jaane vaale kuchh ḳhabar bhi hai
tire qadmon se hai lipTi hui ḳhak-e-mazar ab tak
ye kahne vaale kahte hain ki tauba kar chuke ‘bismil’
magar dekhe ga.e hain mai-kade men baar baar ab tak
Leave a Reply