ye shahr hai anjan kahan raat guzarun
hai jan-na-pahchan kahan raat guzarun
daman men liye phirta huun main daulat-e-gham ko
ghafil hai nigahban kahan raat guzarun
kuTiya to alag saya-e-divar nahin hai
har raah hai viran kahan raat guzarun
is rahguzar par to shajar bhi nahin koi
aur sar pe hai tufan kahan raat guzarun
bahrupiye phirte hain har ik rahguzar par
koi nahin insan kahan raat guzarun
dar va hai koi aur na daricha hi khula hai
har kucha hai viran kahan raat guzarun
Leave a Reply