• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Gham Ka Dariya Sukh Na Jae Uski Rawani Kam Na paDe

Gham Ka Dariya Sukh Na Jae Uski Rawani Kam Na paDe

gham ka dariya suukh na jaa.e us ki ravani kam na paḌe

ḳhun-e-jigar bhi shamil kar luun aankh men paani kam na paḌe

us ke badan ki ḳhushbu ka kuchh toḌ nikalo aaj ki raat

aur koi ḳhushbu le aao rat-ki-rani kam na paḌe

sal-do-sal ki baat nahin hai umr bahut darkar hai haan

soch raha huun ishq ki ḳhatir ahd-e-javani kam paḌe

a.ine ka dil nahin TuuTe us ka bharam abad rahe

chehre par kuchh aur baḌhao ye hairani kam na paḌe

kar-e-jahan men apni vus.at se ye ḳhud hairan sa hai

adam-zad ko mere maula alam-e-fani kam na paḌe

dard ke saare hi qisson ki yad-dahani kar lena

hijr ki raat bahut lambi hai ek kahani kam na paḌe

raaz bahut se aise bhi hain jo us ko ma.alum nahin

mere yaar ki sohbat tujh ko dushman-e-jani kam na paḌe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mohabbat Tum Se Hai Lekin Juda Hain

poet

Mumkin Mujhe Jo Ho Be-Riya Ho

munawwar-rana

Lipstick

Main Hawa Ke Dosh Pe Rakkha Hua

Mar Ke Bhi Qamat-E-Mahbub Ki Ulfat Na Gai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet