ilahi bulbul-e-gulzar-ma.ani kar lisan mera
ba-rang-e-abr-e-naisani suḳhan gauhar-fishan mera
sune par hoven ushshaqan ye ma.ani ramz suun sarmast
le javen faiz ghavvas-e-haqiqat haq-rasan mera
latafat gulbun-e-husn jahan-ara samajh ai dil
hua hai zulf aur ruḳhsar-e-janan ashiyan mera
diya hai ab-o-tab-e-chashm daana ḳhal-e-ariz ka
kaho sab us ko ab qatil hai yarab dilsitan mera
hua hai manzar-e-chashm-e-nazar manzur-e-ushshaqan
dar-o-divar suun dista nishan-e-be-nishan mera
‘alimullah’ ḳhamosh ab ramz asrar-e-ilahi ka
samajhta hai kahan har shaḳhs masti ka bayan mera
Leave a Reply