fat.h paane ki na.i raah nikali us ne
mera sar maang liya ban ke savali us ne
apni hi zaat ke gulshan men kiya aa ke qiyam
bhuul kar vadi-e-kashmir-o-manali us ne
qurb manga to diya hijr jo manga to diya
jo kaha main ne koi baat na Taali us ne
main samajhta tha yunhi hoga hunar us ka magar
be misali ki bhi tasvir bana li us ne
sang-zadon men shab-o-roz the us ke lekin
zindagi phuul ke paira.e men Dhali us ne
baad muddat ke hua samna us se jo mira
dusri samt nazar apni ghuma li us ne
du-badu jab main hua zillat-o-rusva.i se
ki ata mansab-e-izzat pe bahali us ne
is qadar saada tabi.at hai mira yaar ki bas
jo chhupani thi vahi baat uchhali us ne
jaane kis manzar-e-sad-rang men gum tha vo ‘mujib’
koi shai dekhi nahin dekhne vaali us ne
Leave a Reply