
Kamal Jafari
be-gharaz tujh se jo milta hoga
us ka dil pyaar ka dariya hoga
shak jo ahbab pe karta hoga
us ko apne pe bhi dhoka hoga
saaf ubhar aa.e ḳhad-o-ḳhal us ke
chehra a.ine men dekha hoga
de diya vaqt pe dhoka us ne
jis ko samjha tha ki apna hoga
vo jo ḳhamosh hai maghmum bhi hai
us ne har baat pe socha hoga
aaj ham aap salamat hain to bas
kis ko ma.alum ki kal kya hoga
kya ‘kamal’ us ki ḳhabar hai tujh ko
kal kitabon men tu bikhra hoga

Leave a Reply